Friday, December 31, 2010

khush hun ye sochkar tere paas har khushi hai
tu mere paas nahi par mujhme basi hai
tujhme basi hai duniya meri har taraf tu he tu hai
meri saanso mein tu, dil mein teri tasbir basi hai
khush hun ye sochkar........
ashq ban gaye hain alfaaz dil ke
na sukhenge kabhi jo ki teri khushi hai
teri khushi ho shamil wo he meri khushi hai
khush hun ye sochkar.........
lafz juban par aa gaye naam se tere
teri bina lawon pe mere chuppi sadhi hai
dhadkan mein bas teri he yaad basi hai
khush hun ye sochkar........
tute na dil kabhi karta dua tha main
tujhse judne ki karta dua tha main
tuta dil is kadar isme awaaz tak nahi hai
khush hun ye sochkar........
gum na ho paas tere, nam na hon aankh teri
main na rahun saath tere, rahe bus wo jisme teri khushi hai
khush hun ye sochkar........
kaisa dard ye kaisi bebasi hai
lawon pe hasi par aankhon mein nami hai
sab kuchh hai paas mere bus ek teri kami hai
khush hun ye sochkar........

No comments:

Post a Comment