Friday, December 31, 2010

khush hun ye sochkar tere paas har khushi hai
tu mere paas nahi par mujhme basi hai
tujhme basi hai duniya meri har taraf tu he tu hai
meri saanso mein tu, dil mein teri tasbir basi hai
khush hun ye sochkar........
ashq ban gaye hain alfaaz dil ke
na sukhenge kabhi jo ki teri khushi hai
teri khushi ho shamil wo he meri khushi hai
khush hun ye sochkar.........
lafz juban par aa gaye naam se tere
teri bina lawon pe mere chuppi sadhi hai
dhadkan mein bas teri he yaad basi hai
khush hun ye sochkar........
tute na dil kabhi karta dua tha main
tujhse judne ki karta dua tha main
tuta dil is kadar isme awaaz tak nahi hai
khush hun ye sochkar........
gum na ho paas tere, nam na hon aankh teri
main na rahun saath tere, rahe bus wo jisme teri khushi hai
khush hun ye sochkar........
kaisa dard ye kaisi bebasi hai
lawon pe hasi par aankhon mein nami hai
sab kuchh hai paas mere bus ek teri kami hai
khush hun ye sochkar........
ye pyar bhi ajeeb cheej hai jab kisise hota hai to rulata hai
jab usko khota hai to rulata hai


is pyar mein bewafayi kyon milti hai
wafa karne wale ko he tanhayi kyon milti hai


waade sab kiya karte hain pyar mein
todke dil hasa karte hain pyar mein
kab aur kise milegi manjil wafa ki
har waqt hum socha karte hain pyar mein

Thursday, December 30, 2010

आप सभी को नव वर्ष की हार्दिक शुभकामनाएं


१)  साल नया है पैगाम नया है
आज से सब कुछ करना नया है
सीखना है बीते लम्हों से चलना और संभलना
जो की लोग कहें वाह!
आपका तो अंदाज नया है
२) रंग भर दे ये साल आपकी जिन्दगी में
खुशियाँ भर दे ये साल आपकी जिंदगी में
दुया रहेगी सदा ये ही हमारी
गम रहे ना अब आपकी जिंदगी में

Tuesday, December 21, 2010

Mere Dil ......................................

1) use bewafa na kaho, mujhe gawara na hoga
uska taqleef mein rahna, mujhe gawara na hoga
m palkein bichha dunga uske kadmo mein
par wo kaanto pe chale ye, mujhe gawar na hoga

2) tanha dil m naam apna chhod gaya koyi
suni aankhon m tasvir chhod gaya koyi
hum to ye tak nahi jante ki kaun tha wo
fir bhi humari rooh mein ahsas apna chhod gaya koyi

3) mere lawon se naam unka hat na saka
dil se tasveer unki m mita na saka
unki yad itni taqleef de gayi
aankhon se bahta aansu ruk na saka

4) hum pyar karte rahe unhe
har khushi dete rahe unhe
unhe pata he nahi chala
har waqt awaj dete rahe unhe

5) jo apne hokar bhi gair ho gaye
saari khushiyan dekar dukh de gaye
unse pyar ka aitbar kaise karein
jo pyar ko galti ki duhayi de gaye

6) jab chot dil par lagti h
to aansu bahne lagte hain
sochte hain jee lenge uske bin
par kadam dagmagane lagte hain

7) dil ke raste mein phool mila nahi karte
pyar karne wale kaanto se dara naih karte
jab toot ta h dil to awaj bhi nahi hoti
iski parwah na karte huye
aashiq rasta badla nahi karte

8) maine us se pyar kiya
apna sab kuchh var kiya
par wo na samjhe mohobbat ko humari
kuchh lamha khushi dekar
jindgi bhar aansuyon ka uphar diya

9) har pal har lamha ye ibadat karta raha
wo milein mujhe ye inayat karta raha
ai "JAAN" na kar intjaar itna thak jayegi
unse mile bina he teri subah dhal jayegi


10) gunaha bataye bina he saja de gaye
ek saja puri bhi nahi huyi ki duji de gaye
hum to hasne ki pratiksha mein the
wo umra bhar aansuyon ka gum de gaye

11) humein har wo lamha yad hai
jismein basti teri yad hai
hum aaj bhi wahin hain jahan tune chhoda tha
kyonki us sidi pe bhi ek khubsurat yad hai

12) JAAN JAAN kahkar tum dil le gaye
meri in aankhon mein chamak de gaye
par aaj kya huya tumhe
mujhse JAAN kahlwane ka haq wapas le gaye

13) dil mein humein apne jagah dena
payr na sahi nafrat bada lena
kabhi milo humse to gusse mein he sahi
par dekhna jarur
humein dekhkar nazrein na chura lena

14) meri jindgi unki amanat hai
har saans unki amanat hai
wo door hain nazron se
par har dhadkan unki amanat hai


15) unka chehra to haseen hai
pyar ka tarika bhi haseen hai
aaj wo door hain humse par ahsas kahta hai
unka gum bhi usi tarah hasin hai

16) har khushi unhe hum de denge
unka har gum haske sah lenge
wo mile na mile hume koyi gila nahi
unke liye hum umra bhar judai sah lenge

17) har taraf chehra unka dikhta h
kyon har koyi mujhe unsa dikhta h
hum jikra karte hain is baat ka unse to kahna h unka
paglon ko humse baat karne ka ye koyi bahana dikhta h

18) meri aankhon mein tasveer ek he hai
har saans mein basi ek he hai
chaha ke chahun kisi aur ko
par meri rooh mein samayi ek he hai

19) na koyi kisi ke paas rahta hai
na koyi kisi ke sath rahta hai
dafn ho jaate hain zazbaat dil mein saare
na koyi apna aur na he hamraaz rahta hai


20) Mahak se mahkta hai tan
mahak se mahkta hai man
man se hota hai pyar
pyar mein hoti hai mahak
pyar ki mahak se mahakti hai duniya
iski sundarta se sajti hai duniya
mahak ke liye duniya betaab hai
mahak duniya ke liye behisaab hai
jarurat nahi h ise dhundne ki
jarurat hai to bus mahsoos karne ke
ye to har vastu mein vidhyamaan hai


21) zazbaat saare dil me dab jayien to achha hai
aankhein haumari aansu pee jayein to achha hai
sila mila hai mohobbat ka kuchh is tarah ki saha nahi jata
ab unki tasveer aankhon mein liye hamesha ke liye so jayien to achha hai


22) jeena seekha tha maine tujhse
hasna seekha tha maine tujhse
ek hawa ka jhoka aya sab kuchh mitane ke waste
par us se bhi ladna seekha tha maine tujhse

23) mere pyar ko bahkawa samajh liye unhone
mere ahsas ko pachhtawa samajh liya unhone
m roti rahi unki yaad mein par hasil huya ye ki
mujhe he bewafa samajh liya unhone

 24) kyon bhagwan ne ye dil banay
kyon usne umeed karna sikhaya
dua ki thi na mile ab koyi bhi dukh
kyon us se bhi bada dukh de ke mujhe rona sikhaya


25) maine usko apne dil mein basaya h
jeena to mujhe usi ne sikhaya h
har khushi har gum mein sath thi m uske
par aaj usi ke liye
aansu meri aankhon mein aya h


26) I





W





Wa





Wan





Want






Want to say






that





that







that







Exam sir pe hain sms padna chhoro padayi shuru kar do........


27) hume nafrat h ishq ke naam se
hume nafrat h pyar ke paigam se
koyi samjhe to sahi kyon hai aisa
koyi samjhe to sahi....... kyon lagte hain hum is duniya mein kuchh he pal ke mehmaan se


28)  kabhi kisi se itni najdikiyan mat badayo
ki uske door ho jaane se tum khud he toot kar bikhar jayo


29)  jindgi ko pyar ki jarurat h
aur pyar ko insaan ki
par jab insaan hi bewafa ho
to pyar kaise karein

30)  agar tum kisi ko pyar karte ho
to tumhe us se koyi umeed nahi rakhni chahiye
uski khushi mein apni khushi dhundni chahiye


31)  maine pyar unko kiya
to kya kasoor mera tha
unki bewafayi ko bhi maine unka pyar samjha
to kya kasoor mera tha
haan par maine unse pyar manga jo ki kasoor mera tha

32)  Meri saanso mein khushbu basi hai unki
har dhadkan mein yaad basi hai unki
wo door hain aaj najron se meri
par dil mein tasveer basi hai unki