Monday, November 7, 2011

Aaj kis mod par khadi hun......????

Tut te hain rishte par insaan nahi badalte
Badalti hain dhadkane par dil nahi badalte
Yaadein rah jati hain bus sath nibhane ko
Pyar karne walon ke zazbaat nahi badalte













Kya huya jo usne mera dil toda
Kya huya jo usne mujhse rishta toda
Gira diya usne mujhe jamane bhar ke saamne
Kya huya jo usne kahin ka na chhoda


 


Maine aaj fir khud ko wahin paya
jahan usne mujhe chhoda tha
Mere dil ko usne kis kadar toda tha
Jeena bhool gayi thi
Tanah chhod gayi thi


 
Mujhe laga maine use bhula diya
Har kasam har wada bhula diya
Kyon fir aaj main tadap uthi uske liye
Jab maine daman apna us se chhuda liya
 
Pyar ek tarfa kyon hota hai
Kyon koyi kisi ka hoke rota hai
Rah jati hain tanhayiyan naseeb m
har taraf sirf andhera hota hai

Mere zazbat uske kaam na aye
Mere armaan uske kaam na aye
Badal gaye halat har kadam pe
Meri kasam mere wade uske kaam na aye
Meri wafa ke paigam uske kaam na aye
Meri aankhon ke aansu uske kaam na aye
Tod diya vachan sath nibhane ka usne
Umra bhar sath nibhane ke sapne uske kaam na aye
Main chali thi use apna banana ke liye
Uske liye jahan lutane ke liya
Tod diya har rishta uski khatir
Mere balidaan uske kaam na aye
Aansoo bahaye, aankhe bhigoyin
Main uski yaadon mein koyi raat na soyi
Meri aankhon ke farmaan uske kaam na aye

Aaj main khud apne bas mein nahi
Meri duniya ki koyi rasme nahi
uth chooka vishwas har insaan se
Meri dhadkane ab mere dil m nahi

Kab tak dil ke lafz kagaz par likhun
Apna har aansu kagaz par likhun
Kab milegi wo jis se lipat ka ro sakun
Kab tak apne pyar ki dastan
Kagaz par likhun
Ab aur intjaar na kara
Husn ka deedar to kara
Guzar chuki hain sadiyan
Saja kat te kat te
Ab saja khatm hone ka
ailaan to kara
 
tujhse milne ko dil tadap uthta hai
teri surat dekhne ko dil tadap uthta hai
bhool jati hun sab kuchh teri yaadon mein
 jindagi tere naam likhne to dil tadap uthta hai
 
maine saanso ko samjhaya us se door raho
maine dhadkan ko samjhaya mere paas raho
jawab mujhe mila
jab dil uska, atma uski, jindagi uski
kaise us se alag rahein
mere dil ki awaj….
saanso m mahak uski
aankhon m tasveer uski
dil ki dhadkane uski
meri jindagi uski
aatma uski
ab mere paas kya bacha….???

Monday, February 14, 2011

Itna Pyarr.........................

dil m dard kitna he ho dikha na sakenge
teri yad ko dil se mita na sakengae
chhupa lenge aansuyon ko mahfil se
par tere naam par aanch aane na denge



 khwab hai itna ki mil jaye kafn ke roop mein aanchal tera
to mil jaye meri rooh ko har pal ka ahsas tera



 Mujhe Maa se Gila

Mujhe Maa se gila mila q ye sila
usne preet q kyon banayi hai
ab tak mana jise maine apna
kiya usne he mujhko paraya
jiske liye thi duniya bhulayi
usne he mujhko bhulaya
kya hai ye he sila
jo hai mujhko mila
muhobbat m kyon judayi hai
mujhe maa se gila mila kyon ye sila
....................................................
rota tha jab kabhi bhi main
aansu aate the aankho se uske
mere dil mein khushi agar jo hoti
mujhse pahle khush wo hoti
achha ye to bata
ab kya hoga bhala
mili kyon ye tanhayi hai
mujhe maa se gila mila kyon ye sila
....................................................

Sunday, January 30, 2011

Teri Yaadein

Waqt Hai ki Gujarta Nahi
Bin tere DIL Lagta nahi
Hum rote hain teri Yaad mein
Tu hai ke kahin milta nahi










mere dil ka dard na samajh sakega ab koyi
mere aansu na ponchh sakega ab koyo
ho gaya wo door mujhse jo mera apna tha
mere dil mein na bas sakega ab koyi

Thursday, January 20, 2011

Dard Dil Ka.............

1)   tum khush raho duya karti rahungi
tumhare liye jillat sahti rahungi
janti hun nahi miloge mujhse kabhi
fir bhi tamaam umra intjaar karti rahungi


2)   kisi se mohobbat e pyar na karna
tum pyar ka ijhaar na karna
tut jaya karte hain dil aksr pyar mein he
pyar mein kabhi aitbaar na karna


3)   jab kaha unhone pyar huya hai hume
to ishara humne apni taraf samjha
wo kisi aur ka naam juban par le aye
humne taqdeer ka khel samjha



4)   meri kismat jaise badal si gayi thi
hatho ki lakeer lahar si gayi thi
lagne laga tha wo sirf mere hain
naseeb mein likha shayad main bhool si gayi thi


5)   wo ishara karte rahe hum samajh na sake
wo kinara karte rahe hum majhdar se bach na sake
hume yakin hote huye bhi shak na huya ki wo bewafa hain
wo dard dete rahe hum khush hoke has na sake