Monday, November 7, 2011

Aaj kis mod par khadi hun......????

Tut te hain rishte par insaan nahi badalte
Badalti hain dhadkane par dil nahi badalte
Yaadein rah jati hain bus sath nibhane ko
Pyar karne walon ke zazbaat nahi badalte













Kya huya jo usne mera dil toda
Kya huya jo usne mujhse rishta toda
Gira diya usne mujhe jamane bhar ke saamne
Kya huya jo usne kahin ka na chhoda


 


Maine aaj fir khud ko wahin paya
jahan usne mujhe chhoda tha
Mere dil ko usne kis kadar toda tha
Jeena bhool gayi thi
Tanah chhod gayi thi


 
Mujhe laga maine use bhula diya
Har kasam har wada bhula diya
Kyon fir aaj main tadap uthi uske liye
Jab maine daman apna us se chhuda liya
 
Pyar ek tarfa kyon hota hai
Kyon koyi kisi ka hoke rota hai
Rah jati hain tanhayiyan naseeb m
har taraf sirf andhera hota hai

Mere zazbat uske kaam na aye
Mere armaan uske kaam na aye
Badal gaye halat har kadam pe
Meri kasam mere wade uske kaam na aye
Meri wafa ke paigam uske kaam na aye
Meri aankhon ke aansu uske kaam na aye
Tod diya vachan sath nibhane ka usne
Umra bhar sath nibhane ke sapne uske kaam na aye
Main chali thi use apna banana ke liye
Uske liye jahan lutane ke liya
Tod diya har rishta uski khatir
Mere balidaan uske kaam na aye
Aansoo bahaye, aankhe bhigoyin
Main uski yaadon mein koyi raat na soyi
Meri aankhon ke farmaan uske kaam na aye

Aaj main khud apne bas mein nahi
Meri duniya ki koyi rasme nahi
uth chooka vishwas har insaan se
Meri dhadkane ab mere dil m nahi

Kab tak dil ke lafz kagaz par likhun
Apna har aansu kagaz par likhun
Kab milegi wo jis se lipat ka ro sakun
Kab tak apne pyar ki dastan
Kagaz par likhun
Ab aur intjaar na kara
Husn ka deedar to kara
Guzar chuki hain sadiyan
Saja kat te kat te
Ab saja khatm hone ka
ailaan to kara
 
tujhse milne ko dil tadap uthta hai
teri surat dekhne ko dil tadap uthta hai
bhool jati hun sab kuchh teri yaadon mein
 jindagi tere naam likhne to dil tadap uthta hai
 
maine saanso ko samjhaya us se door raho
maine dhadkan ko samjhaya mere paas raho
jawab mujhe mila
jab dil uska, atma uski, jindagi uski
kaise us se alag rahein
mere dil ki awaj….
saanso m mahak uski
aankhon m tasveer uski
dil ki dhadkane uski
meri jindagi uski
aatma uski
ab mere paas kya bacha….???