Sad Shayari

1)      use bewafa na kaho, mujhe gawara na hoga
uska taqleef mein rahna, mujhe gawara na hoga
m palkein bichha dunga uske kadmo mein
par wo kaanto pe chale ye, mujhe gawar na hoga

2)      mere lawon se naam unka hat na saka
dil se tasveer unki m mita na saka
unki yad itni taqleef de gayi
aankhon se bahta aansu ruk na saka


3)       hum pyar karte rahe unhe
har khushi dete rahe unhe
unhe pata he nahi chala
har waqt awaj dete rahe unhe



4)      jo apne hokar bhi gair ho gaye
saari khushiyan dekar dukh de gaye
unse pyar ka aitbar kaise karein
jo pyar ko galti ki duhayi de gaye
5)      jab chot dil par lagti h
to aansu bahne lagte hain
sochte hain jee lenge uske bin
par kadam dagmagane lagte hain
6)      dil ke raste mein phool mila nahi karte
pyar karne wale kaanto se dara naih karte
jab toot ta h dil to awaj bhi nahi hoti
iski parwah na karte huye
aashiq rasta badla nahi karte
7)       maine us se pyar kiya
apna sab kuchh var kiya
par wo na samjhe mohobbat ko humari
kuchh lamha khushi dekar
jindgi bhar aansuyon ka uphar diya
8)       har pal har lamha ye ibadat karti rahi
wo milein mujhe ye inayat karti rahi
ai "JAAN" na kar intjaar itna thak jayegi
unse mile bina he teri subah dhal jayegi
9)      gunaha bataye bina he saja de gaye
ek saja puri bhi nahi huyi ki duji de gaye
hum to hasne ki pratiksha mein the
wo umra bhar aansuyon ka gum de gaye


10)  humein har wo lamha yad hai
jismein basti teri yad hai
hum aaj bhi wahin hain jahan tune chhoda tha
kyonki us sidi pe bhi ek khubsurat yad hai


11)  JAAN JAAN kahkar tum dil le gaye
meri in aankhon mein chamak de gaye
par aaj kya huya tumhe
mujhse JAAN kahlwane ka haq wapas le gaye


12)   meri jindgi unki amanat hai
har saans unki amanat hai
wo door hain nazron se
par har dhadkan unki amanat hai


13)  har taraf chehra unka dikhta h
kyon har koyi mujhe unsa dikhta h
hum jikra karte hain is baat ka unse to kahna h unka
paglon ko humse baat karne ka ye koyi bahana dikhta h


14)  na koyi kisi ke paas rahta hai
na koyi kisi ke sath rahta hai
dafn ho jaate hain zazbaat dil mein saare
na koyi apna aur na he hamraaz rahta hai


15)  zazbaat saare dil me dab jayien to achha hai
aankhein haumari aansu pee jayein to achha hai
sila mila hai mohobbat ka kuchh is tarah ki saha nahi jata
ab unki tasveer aankhon mein liye hamesha ke liye so jayien to achha hai


16)  mere pyar ko bahkawa samajh liye unhone
mere ahsas ko pachhtawa samajh liya unhone
m roti rahi unki yaad mein par hasil huya ye ki
mujhe he bewafa samajh liya unhone


17)   kyon bhagwan ne ye dil banay
kyon usne umeed karna sikhaya
dua ki thi na mile ab koyi bhi dukh
kyon us se bhi bada dukh de ke mujhe rona sikhaya


18)  maine usko apne dil mein basaya h
jeena to mujhe usi ne sikhaya h
har khushi har gum mein sath thi m uske
par aaj usi ke liye
aansu meri aankhon mein aya h

19)  hume nafrat h ishq ke naam se
hume nafrat h pyar ke paigam se
koyi samjhe to sahi kyon hai aisa
koyi samjhe to sahi....... kyon lagte hain hum is duniya mein kuchh he pal ke mehmaan se

 maine pyar unko kiya
to kya kasoor mera tha
unki bewafayi ko bhi maine unka pyar samjha
to kya kasoor mera tha
haan par maine unse pyar manga jo ki kasoor mera tha

ye pyar bhi ajeeb cheej hai jab kisise hota hai to rulata hai
jab usko khota hai to rulata hai


is pyar mein bewafayi kyon milti hai
wafa karne wale ko he tanhayi kyon milti hai

waade sab kiya karte hain pyar mein
todke dil hasa karte hain pyar mein
kab aur kise milegi manjil wafa ki
har waqt hum socha karte hain pyar mein   

1 comment: