Sunday, January 30, 2011

Teri Yaadein

Waqt Hai ki Gujarta Nahi
Bin tere DIL Lagta nahi
Hum rote hain teri Yaad mein
Tu hai ke kahin milta nahi










mere dil ka dard na samajh sakega ab koyi
mere aansu na ponchh sakega ab koyo
ho gaya wo door mujhse jo mera apna tha
mere dil mein na bas sakega ab koyi

Thursday, January 20, 2011

Dard Dil Ka.............

1)   tum khush raho duya karti rahungi
tumhare liye jillat sahti rahungi
janti hun nahi miloge mujhse kabhi
fir bhi tamaam umra intjaar karti rahungi


2)   kisi se mohobbat e pyar na karna
tum pyar ka ijhaar na karna
tut jaya karte hain dil aksr pyar mein he
pyar mein kabhi aitbaar na karna


3)   jab kaha unhone pyar huya hai hume
to ishara humne apni taraf samjha
wo kisi aur ka naam juban par le aye
humne taqdeer ka khel samjha



4)   meri kismat jaise badal si gayi thi
hatho ki lakeer lahar si gayi thi
lagne laga tha wo sirf mere hain
naseeb mein likha shayad main bhool si gayi thi


5)   wo ishara karte rahe hum samajh na sake
wo kinara karte rahe hum majhdar se bach na sake
hume yakin hote huye bhi shak na huya ki wo bewafa hain
wo dard dete rahe hum khush hoke has na sake